Tuesday, 8 January 2013

तुम कहो न---- एक कविता दोस्त के लिए


TUM KAHO NA----------
 
yogesh chandra by rajee kushwaha
 

     Aap kaho toh aapka pyar dila duN,
    Aap kaho uske liye ik raag bana duN;
    ---------kuchh toh kaho, O' deevaane aashik!
             Mat rote raho tum 'raanjhe' ke maafik!!
 
    Hum chand bhi tod ke laa denge;
    Teri palko pe use bithaa denge ;
    --------Kuchh meri suno, O' chhote bhai!
            Tere haal pe hame bohat daya aayi .

    Kya hua agar us ne wafa nahi ki?
    kya aap se bhai, koi khata hui thii? 
    ---------Gar hum se kabhi kaha toh hota?
              YuN piyar meN tu pagal nahi hota.

    Aap kaho abhi toh line  laga duN,
    Husan ki tum pe Bochhar kara duN.
    ---------- Magar bhool jayo usko mere bhai,
               Woh khud ko hi kabhi samajh na payi?

     Aap kaho toh piyar kuchh hum bhi kar leN,
     Is husan ke saagar meN dubki bhar leN
     ----------Magar kuchh kaho toh, kuchh kaho na?
               Yun mayoosi meN "rajee' tum baitho na?    
  


No comments:

Post a Comment