DIL-E-MANMAANI
Arz Kiya Hai:-
Khushi se jhoomti lehren saagar ke seene mein--
Magar woh toot jaati hai aa ke kinaron pe;
Dillagi ke maze har dum leta toh hai dil,
Magar roti rahti hain aankhen uske isharon pe;
Humne daikhe hain chehron ke badlte rang,
Aah jab bhi nikli toote huye dil ki diwaron se;
Lekin koi seema nahin dil ki manmani ki jaanam,
Hosh ud jaate hain sipahsalaaron ke.
KIYONKI:-
Piyar ka toofan jab Kisi dil mein chalta hai,
Har lamha judai ka fir khalne lagta hai.
Khushiyon ka ehsas hota jiske vaydon se-
Raaton ko preshaan kar de apni yaadon se,
Unse har dum milne ko dil khoya rahta hai,
Piyar ka toofan jab kisi dil mein chalta hai,
Har lamha judai------------------------- 1.
Har dharkan, har saans pe jo raaz karta hai,
Deewangi ki hud tak dil uspe hi marta hai;
Kuchh bhi naseehat de koi par bus na chalta hai,
Piyar ka toofan-------------------------
Har lamha judai---------------------2.
Aisa jadoo hota hai un mithi baton mein,
Armaanon ka mehal banta tanha raaton mein,
Sapnon ki duniyan mein dil to khoya rahta hai,
Piyar ka toofan-------------------------
Har lamha judai-----------------------3.
Dil ke aaine mein toh ik tasveer hoti hai,
Aankhon se dilvar ki par tasdeek hoti hai;
Khaane, peene, sone ka na khyal rahta hai,
Piyar ka toofan jab---------------------------
Har lamha Judai-----------------------------4.
Dil se dil ka khel yeh sadiyon purana hai,
'Rajee’ par is mail ka dushman zamana hai;
Dard, gam aur aahon ka bhi kissa banta hai-
Piyar ka toofan--------------------------------
Har lamha judai-------------------------------5.
No comments:
Post a Comment