DASTAAN-E-MAZHAB
Main mazhab hun insaan ka,
Mujhe waqt ne diye kayi naam;
Koi mujh ko sab kuchh maanta,
Koi bechta mujhe sar-e-aam.
Ik daud lagi hai jeevan mein,
Sab ‘jeet’ ke peechhe bhaag rahey,
Kahin ‘CHOR’ hai meri khidmat
mein,
Kahin ‘QAATIL’ rehmat maang rahey.
Ik din ki, main kya baat kahoon,
Mere naam pe ik bazaar lagaa,
Maal baech rahey sab ek hi thaa,
Par awaam ko sab ne khoob thagaa.
Shor huaa thaa yun ‘Neelaami’ ka,
Koi baat samajh nahin paata thaa;
Dhun lagti sab ki ek si thhee,
Par Sangeet alag ho jaata thaa.
Main ‘Dang’ hua yeh dekh
‘Nazaara’--
Jo Gali ‘Gurudawarey’ jaati thhee,
Uski Nukkad pe ‘Mandir’ aur
‘Girja’;
Woh ‘Maszid’ ho ke aati thhee.
Aaj poochha khud se, kya CHEEZ hun
main?
Kiya sabko miloon virasat mein?
Kya ‘Paidyasi’ mohar ke jazwon
mein?
Insaan aa jaye meri hirasat mein.”
‘Hindu’ ‘GARV’ se kahen jise ek
‘Mandir’,
Fir maante ‘Prabhu’ rahey uske andir;
Kuchh Daawa karen, “Masjid ‘Allah’ ka
ghar”,
Har ‘Musalmaan’ jhukaye wahan apna sir.
‘Sikh’ maanne ‘Gurudwara’ ‘Guruon’ ka
dhaam-
‘Guruvaani’ ka wahan mile unhen GYAN,
Jis ‘IMAARAT’ ko milta ‘Girja’ ka
naam;
Wahan ‘Isaai’ soonte ‘Jesus’-Paigam.
Yeh ‘NAMOONE’ hai maire naamon ke
kuchh;
Albatta, main hun sirf ek JEENE ki RAAH:
Us Gujre WAQT ka NAYA Savera hun
main;
Jab
Rasmon ne kiyaa mera roop Tawaah.
Aaj fir woh hi chal raha hai
daur;
Log
Peete hai roz NAFRAT ke jaam;
Nek hone ka Sab bharte “RAJEE” dum,
Dafan NEKI hoti magar ‘Subah-o-Sham’.
No comments:
Post a Comment