Tuesday 29 May 2012

HINDI POEM-5 HUMNE SOCHA NA THA (NEW)

HUMNE SOCHA NA THHAAI 

   
PAAGAL KAHO YA DIWANA,TUJHE PAANE KA AISA MUJHKO JUNOON THHAA,
THUKRA DIYA HUMKO, AAPKA KOI NA KAYDA NA KANOON THAA;
TUMHARE HUSAN KI MEHAK SE MEHFIL KA MAHOL BADAL JATA THHAA;
YEH KHUSBOO ITAR KI THHIYYI, HUM NE TAB SOCHA NA THHAA.
AB AAYE HO JAB KI LAMBI HO GAYI HAI UMAR KI PARCHHAYIAN,
MAGAR KABHI TUJHSE MILNE KO DIL BEKRAR HUYE JAATA THHAA;
KYA UMEED LEKAR AAYE HO IS NACHEEZ KE AANGAN MEIN JAANAM—
KABHI ‘PAISE’ SE UCHAT JAYEGA MANN, HUMNE TAB SOCHA NA THHAA.

BOHAT ARSA HUA HUMNE BHULA DI THHYII APNI BHOOL WOH,

KABHI SAPNO MEIN BHI BHOOL KE TERA KHYAL AATA NA THHAA,

PYASA KUYEN KE PAAS JATE TOH DEKHA HAI SAB NE,

MAGAR TUM MERE PAAS AAOGE, HUM NE TAB SOCHA NA THHAA.
KYA ZAROORAT AB TUMHARI, DHUAN BAN GAYE HAI ARMAAN JAB “RAJEE”?
'DO' ROTI SE ZINDA REHTE HAI HUM, US PE BHI APNI HOTI NA MARZEE?
‘KHALI HAATH AAYE SAB, KHALI HAATH JAYENGE’ MALUM TOH THHAA MATLAB ISKA;
‘RET’ PE HI BANTA HAI ‘PAISE KA MEHAL’, HUMNE KABHI SOCHA NA THAA.

No comments:

Post a Comment