Tuesday, 29 May 2012

PURANE SAFE---HINDI POEM-4

PURANE SAPHE-EK GEET!
MUJHE IS FIZA KI BADLATI HAWA SE,
BOHAT KHAUF LAGTA KIYON NAYI ADA SE;
KEHTE HAI LOG JISKO NAYA ZAMANA,
LAGTA KIYON MUJHKO YEH BETUK TARANA.
MUJHE IS HAWA KI------------------------------------
DEKHE HAI MAINE INKE VAAYDON KE TAGMEN,
TUTE HUE DIL KE WOH BE-SOORE NAGMEN;
DEKHI HAI MAINE INKI DOSTI KI KASMEN,
KHUDGARZI KI WOH TUTI- FUTI RASMEN. 
MUJHE IS HAWA KI----------------------------------
MAIN NE SUNE HAI KUCHH KISSE WAFA KE,
YAARI KISI SE KI, KISI SE NIKAH KE;
DEKHI HAI MAIN NE INKE PIYAR KI BAGAWAT,
AAWROO MA-BAAP KI SE HOTI TIZARAT.
MUJHE IS HAWA KI----------------------------------
JAANTA HUN MAIN INKE KANOON KI DAFAYEN,
DOLAT KI KHATIR YEH IMAAN LOOTAYEN;
KHOKHLI IMARAT KE AISE YEH SEHTIR HAI----
BAHAR SE CHAMKATE ANDAR SE FAQIR HAIN.
MUJHE IS HAWA KI-----------------------------------
KEHTE HAI LOG, WAQT JIYON HI BADLATA HAI,
KAPDA PURANA JAISE DEH SE UTARATA HAI;
RAJAYON KE MEHAL KAL, AAJ WOH KHANDAHAR HAI—
NACHA KABHI HUSAN YAHAN, NACHTE AB BANDAR HAI.
MUJHE IS HAWA KI-----------------------------------
“RAJEE” HAI DAUR NAYA, NAYI INKI BAATEN HAI,
APNE TARIQE SE YEH GEET NAYE GAATE HAI,
SACH AUR JHOOTH KE AB NAYE PAIMAANE HAI,
TERI KITAB KE WOH SAPHE HUE PURANE HAI.

MUJHE IS HAWA KI------------------------------------

No comments:

Post a Comment